tum kya jano sharab kaise pilayi jati hai,
kholne se pehle botal hilayi jati hai,
phir aawaj lagayi jaati hai aa jao tute dil walo,
yahan dard-e-dil ki dawa pilayi jati hai !!
तुम क्या जानो शराब कैसे पिलाई जाती है,
खोलने से पहले बोतल हिलाई जाती है,
फिर आवाज़ लगायी जाती है आ जाओ टूटे दिल वालों,
यहाँ दर्द-ए-दिल की दवा पिलाई जाती है !!
tohfe mein mat gulab lekar aana,
meri kabr par mat chirag lekar aana,
bahut pyasa hun barson se main,
jab bhi aana sharab lekar aana !!
तोहफे में मत गुलाब लेकर आना,
मेरी क़ब्र पर मत चिराग लेकर आना,
बहुत प्यासा हूँ बरसों से मैं,
जब भी आना शराब लेकर आना !!
main tod leta agar woh gulab hoti,
main jawab banta agar woh sawal hoti,
sab jante hain main nasha nahi karta,
phir bhi pee leta agar woh sharab hoti !!
मैं तोड़ लेता अगर वो गुलाब होती,
मैं जवाब बनता अगर वो सवाल होती,
सब जानते हैं मैं नशा नहीं करता,
फिर भी पी लेता अगर वो शराब होती !!
gham iss kadar barhe ke ghabra ke pee gaya,
iss dil ki bebasi pe taras kha ke pee gaya,
thhukra raha tha mujhe badi der se zamana,
main aaj sab jahaan ko thhukra ke pee gaya !!
ग़म इस कदर बढ़े कि घबरा के पी गया,
इस दिल की बेबसी पे तरस खा के पी गया,
ठुकरा रहा था मुझे बड़ी देर से ज़माना,
मैं आज सब जहान को ठुकरा के पी गया !!
lahron pe khejta hua lahra ke pi gaya,
saqi ki har nigaah pe bal kha ke pi gaya,
maine toh chord di thi par rone lagi sharab,
main uske aansuon pe taras kha ke pi gaya !!
लहरों पे खेजता हुआ लहरा के पी गया,
साक़ी की हर निगाह पे बल खा के पी गया।
मैंने तो छोड़ दी थी पर रोने लगी शराब,
मैं उसके आँसुओं पे तरस खा के पी गया!!
(abdul hameed adam)
main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pee gaya,
gham ki siyaah raat se ghabra ke pee gaya,
itni dakeek se koi kaise samajh sake,
yazdan ke wakiyat se ghabra ke pee gaya !!
मैं तल्खी-ए-हयात से घबरा के पी गया,
ग़म की स्याह रात से घबरा के पी गया,
इतनी दकीक से कोई कैसे समझ सके,
यज्दां के वाकियात से घबरा के पी गया !!
(sagar siddiqi)
Shayari conveys emotions in all its forms through rhythmic words. Read a collection of Love Mohabbat Shayari, Romantic Shayari, Sad Shayari, Funny Shayari, dard shayari, Friendship shayari, Good morning shayari, Hindi status for Whatsapp & Facebook @ shayarino1.com
More sharab shayari like “yahan dard-e-dil ki dawa pilayi jati hai ” @ shayarino1.com
ek hum hain ke peekar bhi tera naam lete rahe – sharab shayari
woh purani sharab ke jaisi hai – sharaab shayari
Ishwar to usi ka hai jo sar jhukana janta hai – Good Morning Shayari
Ek Tu Aur Doosra Muskrana Tera – Hindi Love Mohabbat Shayari
Aaj hum ko nazar aati hai har baat wahi – Love Mohabbat Shayari – shayarino1.com
unse wade pyar ke nibhaye na gaye – Hindi Love Mohabbat Sad Shayari
Tujhe dekhna aur dekhte rehna dastoor ban gaya hai – Shayari on beautiful girls-shayarino1.com