Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aataa Hai,
Ki Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chhaaon Mein,
Guzarne Paati To Shadab Ho Bhi Sakti Thi,
Yeh Tiraagi Jo Mere Zeest Ka Muqaddar Hai,
Teri Nazar Ki Shuaon Mein Kho Bhi Sakti Thi.
Ajab Na Tha Ki Main Begana-E-Alam Reh Kara
Tere Jamaal Ki Ranaiyon Mein Kho Rehta
Tera Gudaaz Badan, Teri Neembaz Aankhein
Inhin Hasin Fasano Mein Main Ho Rehta.
Pukartin Mujhe Jab Talkhiyan Zamane Ki,
Tere Labon Se Halavat Ke Ghunt Pe Leta,
Hayaat Chikhti Phirti Barhana-Sar Aur Main,
Ghaneri Zulfon Ke Saaye Mein Chhup Ke Ji Leta.
Auto Amazon Links: Could not resolve the given unit type, . Please be sure to update the auto-insert definition if you have deleted the unit.
Magar Yeh Ho Na Saka Aur Ab Yeh Aalam Hai,
Ki Tu Nahin, Tera Gham Teri Justaju Bhi Nahin,
Guzar Rahi Hai Kuch Iss Tarah Zindgi Jaise,
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzoo Bhi Nahin,
Zamane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Chuka Hu Gale,
Guzar Raha Hun Kuchh Anjaani RahGuzaron Se,
Muhib Saaye Meri Simt Badate Aate Hain,
Hayaat-O-Maut Ke Par-Haal Khaar-Zaaron Se.
Na Koyi Jaada, Na Manzil Na Roshani Ka Suraag,
Bhatak Rahi Hai Khalaaon Mein Zindagi Meri,
Inhi Khalaaon Mein Reh Jaaunga Kabhi Kho Kar,
Main Jaanta Hun Meri Ham-Nafas, Magar Yun Hi,
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai.
Shayari conveys emotions in all its forms through rhythmic words. Read a collection of Love Mohabbat Shayari, Romantic Shayari, Broken Heart Shayari, Sad Shayari, Funny Shayari, dard shayari, Friendship shayari, Good morning shayari, Hindi status for Whatsapp & Facebook @ shayarino1.com
More Bollywood Movie Shayari – Kabhi Kabhi Movie / Amazing Collection of Love Shayari (लव शायरी) in Hindi, Romantic Shayari in English/ Love Mohabbat Shayari / Nafrat Hate Shayari / Alone Shayari / Dard / Sad Shayari / Happy Birthday Wishes Shayari @shayarino1.com
Bollywood Movie Shayari – Sarfarosh Movie
Bollywood Movie Shayari – Jab Tak Hai Jaan
100+ Love Shayari (लव शायरी) in Hindi – Heart Touching, Mohabbat, Pyar, gam, dard
एक चाहत है सिर्फ आपके साथ जीने की – Romantic Shayari in Hindi